Pages

Saturday, January 4, 2014

Memories of You - A Happiness to Smile

Dedicated to my Love; for its sweetness and pain



Teri Qasam humko teri yaadein jo aati hain, hamein har pal satati hain.  
Ab to nahi lagta hamara dil tumhare bin , ab har dhadkan rulati hai.

Tumhara saath agar milta,  

hamara dil na yun jalta,  
ke jal ke humne raaton me,  
tadap kar bekarari me,  
guzaare hain wo kitne pal;  woh yaadon me.  

Teri Qasam humko teri yaadein jo aati hain, hamein har pal satati hain.......

Raho tum khush jidhar bhi ho,  
hamara haal mat poocho,  
hamari yeh duaa-een hain,  
tumhari jo bhi raahein hain, 
tumhe le jaaen gulshan me; bahaaron me.  

Teri Qasam humko teri yaadein jo aati hain , hamein har pal satati hain........

Qayamat dil pe yun guzri , 

bhulayen hum bhala kaise, 
dhuaan ut-tha hai dil se yun,  
lagi thi aag yeh kaise,  

wahi sapne, wahi yaadein ,
wahi beeti huyi baatein, 
 jab aati hain hamein har pal; chalati hain.  

Teri Qasam humko teri yaadein jo aati hain,hamein har pal satati hain.
 ab to nahi lagta hamar dil tumahre bin, ab har dhadkan rulati hai........

No comments: